Yaar Ko Mai.n Ne Mujhe Yaar Ne Sone Na Diyaa
Raat Bhar Taali'-e-bedaar Ne Sone Na Diyaa
[taali'-e-bedaar = Good Fortune]
Ek Shab Bul_bul-e-betaab Ke Jaage Na Nasiib
Pahaluu-e-gul Me.n Kabhii Khaar Ne Sone Na Diyaa
Raat Bhar Kii Dil-e-betaab Ne Baate.n Mujh Se
Mujh Ko Is Ishq Ke Biimaar Ne Sone Na Diyaa
No comments:
Post a Comment