Sun To Sahii Jahaa.N Me.n Hai Teraa Fasaanaa Kyaa
Kahatii Hai Tujh Se Khalq-e-Khudaa Gaibaanaa Kyaa
Ziinaa Sabaa Kaa Dhuu.NDhatii Hai Apanii Musht-e-Khaak
Baam-e-baland Yaar Kaa Hai Aastaanaa Kyaa
Aatii Hai Kis Tarah Se Merii Kabz-e-ruuh Ko
Dekhuu.N To Maut Dhuu.NDh Rahii Hai Bahaanaa Kyaa
Betaab Hai Kamaal Hamaaraa Dil-e-aziim
Mahamaa.N Saaraay-e-jism Kaa Hogaa Ravanaa Kyaa
No comments:
Post a Comment