Badan Me.n Aag Sii Cheharaa Gulaab Jaisaaa Hai
Ke Zahar-e-Gam Kaa Nashaa Bhii Sharaab Jaisaa Hai
Kahaa.N Vo Qurb Ke Ab To Ye Haal Hai Jaise
Tere Firaaq Kaa Aalam Bhii Khvaab Jaisaa Hai
Magar Kabhii Ko_ii Dekhe Ko_ii Pa.Dhe To Sahii
Dil Aa_iinaa Hai To Cheharaa Kitaab Jaisaa Hai
Vo Saamane Hai Magar Tishnagii Nahii.n Jaatii
Ye Kyaa Sitam Hai Ke Dariyaa Saraab Jaisaa Hai
[tishnagii=thirst, Saraab=illusion/mirage ]
'Faraz' Sang-e-malaamat Se ZaKhm ZaKhm Sahii
Hame.n Aziiz Hai Khaanaa_Kharaab Jaisaa Hai
No comments:
Post a Comment